Ham-Nashin Aisi Koi Tadbir Honi Chahiye

ham-nashīñ aisī koī tadbīr honī chāhiye

mere qabze meñ mirī taqdīr honī chāhiye

ḳhatm honā chāhiye ab qissa-e-dair-o-haram

ḳhānqāh-e-zindagī ta.amīr honī chāhiye

imtiyāz-e-kufr-o-īmāñ vaqt par ho jā.egā

dāvat-e-mai-ḳhāna ālamgīr honī chāhiye

aur baḌh jaa.eñ zarā tishna-labī kī talḳhiyāñ

daur-e-sāġhar meñ abhī tāḳhīr honī chāhiye

is tarah to nazm-e-ālam muntashir ho jā.egā

ḳhud-parastī qābil-e-tāzīr honī chāhiye

rahzan-e-īmāñ haiñ donoñ shaiḳh ho yā barahman

in se bachne kī koī tadbīr honī chāhiye

markaz-e-husn-o-mohabbat matl.a-e-mehr-o-vafā

dil ke ā.īne meñ ik tasvīr honī chāhiye

tā-ba-kai ye lan-tarānī hoshiyār ai barq-e-tūr

ārzū-e-dīd kī tauqīr honī chāhiye

tā-ba-kai ye be-niyāzī ai harīfān-e-suḳhan

ab zabān-e-‘rāz’ ālamgīr honī chāhiye

Leave a Comment