• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge

Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge

ghar se ham ghar talak ga.e honge

apne hi aap tak ga.e honge

ham jo ab aadmi hain pahle kabhi

jaam honge chhalak ga.e honge

vo bhi ab ham se thak gaya hoga

ham bhi ab us se thak ga.e honge

shab jo ham se hua muaaf karo

nahin pi thi bahak ga.e honge

kitne hi log hirs-e-shohrat men

daar par ḳhud laTak ga.e honge

shukr hai is nigah-e-kam ka miyan

pahle hi ham khaTak ga.e honge

ham to apni talash men akasr

az sama-ta-samak ga.e honge

us ka lashkar jahan-tahan ya.ani

ham bhi bas be-kumak ga.e honge

‘jaun’ allah aur ye aalam

biich men ham aTak ga.e honge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sahil Pe Lai Aur Safine Dubo Diye

poet

Kabe Hi Ka Ab Qasd Ye Gumrah Karega

poet

Jun Fauj Ki Maftuh Ho Zanjir Mein Aawe

Pyas Har Zarra-E-Sahra Ki Bujhai Gai Hai

Hum Faqiri Mizaj Rakhte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet