
Tilok Chand Mahroom
hairat-zada main un ke muqabil men rah gaya
jo dil ka mudda.a tha mire dil men rah gaya
ḳhanjar ka vaar karte hi qatil ravan hua
arman-e-did dida-e-bismil men rah gaya
jitni safa thi sab ruḳh-e-janan men aa ga.i
jo daagh rah gaya mah-e-kamil men rah gaya
ai mehrban dasht-e-mohabbat chale chalo
apna to pa-e-shauq salasil men rah gaya
vahshat-faza bahut thi hava dasht-e-qais ki
parda kisi ka parda-e-mahmil men rah gaya
‘mahrum’ dil ke haath se jaan thi azaab men
achchha hua ki yaar ki mahfil men rah gaya

Leave a Reply