• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan

Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan

hain mire vajud men maujzan miri ulfaton ki nishaniyan

na huiin nasib jo qurbaten unhin qurbaton ki nishaniyan

thaki haari shakl niDhal si kisi imtihan ke saval si

mire jism-o-jan pe sabt hain tiri furqaton ki nishaniyan

kabhi ankhen ghaiz se tar-ba-tar kabhi la.an-ta.an zaban par

mujhe meri jaan se aziiz hain tiri nafraton ki nishaniyan

ho vo bu-e-gul ki ho ragni ho vo abshar ki chandni

hain qadam qadam pe saji huiin tiri nuz.haton ki nishaniyan

ka.i baar roz ka.i jagah miri ruuh paḌhti hai fatiha

mire puure jism men dafn hain miri hasraton ki nishaniyan

kahin nachti huiin mastiyan kahin bhuuk se hain laḌa.iyan

kahin daulaton ke muzahire kahin ghurbaton ki nishaniyan

vo zamin ho ki ho asman vo pahaḌ hon ki hon vadiyan

hain chahar samt mire ḳhuda tiri rahmaton ki nishaniyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

jaun-eliya

dhup Uthata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin

Ye Teri KHalq-Nawazi Ka Taqaza Bhi Nahin

Maza Lams Ka Be-Zabani Mein Tha

Rah-E-Ulfat Mein Jab Tark-E-Tawassut Ka Maqam Aaya

Aish-E-Duniya Ka Jab Shumar Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet