• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan dekho

Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan dekho

ahmad-shanas

hai vahimon ka tamasha yahan vahan dekho

hamare paas mukammal khuda kahan dekho

dil-o-dimagh ke andar ana ki guunj suno

bala si koi lahu men ravan-davan dekho

nafas ka saanp kahan zer hone vaala hai

phir is ke baad koi aur imtihan dekho

ab apne ghar ke liye ik nai zamin socho

zamin ke sar pe koi taaza asman dekho

is ik saval ke kitne azaab jhel chuka

kuchh aur dard banu aur imtihan dekho

guzar ke jaana hai vahshat ke ek dariya se

yaqin na ho to yahan rasta kahan dekho

kahan se aaegi ab raushni mohabbat ki

bahut dhuan hai makanon ke darmiyan dekho

main be-yaqin huun aisa ki mere hathon men

tamam ayaten suraj ki raegan dekho

phata hua kisi uryan saval jaisa hai

hamare sar pe ye rahmat ka saeban dekho

nishan ret ke aae hain mere hisse men

nikal gaya hai bahut duur karvan dekho

masih maut ka paigham le ke aaya hai

ab aur kaun bachaega meri jaan dekho

mire huruf adhuri udaan jaise hain

mira shuur maani ka asman dekho

vo ek lamha hayat-ashna likho ‘ahmad’

vagarna saari kahani hi raegan dekho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Apni Jang Hi Ladti Hai

Mahrumi Ke Dukh Aur Tanhai Ke Ranj uThae

Sufi

Ai Sarw-e-Naz Raunaq-e-Bustan-e-Ma Tui

Ain Masti Mein Hun Dil Duniya Se Begana Hai

Jis Ko Itna Chaha Maine Jis Ko Ghazal Mein Likkha Chand

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet