hai tamanna koi na koi aas
zindagi hai bahut udaas udaas
kyon na gham ko gale laga.un main
kis ko aa.i hai shadmani raas
manzilon ke qarib-tar hai vo
ishq men kho chuka jo hosh-o-havas
kya karun aise doston ko main
dost-dari ki jin men bu hai na baas
ḳhair ho zabt-e-ishq ki yarab
ik chubhan si hai aaj dil ke paas
meri divangi hi kaam aa.i
aaj pahna hai zindagi ne libas
ai ‘kanval’ maut se bhi bad-tar hai
ziist jo ho ba-qaid-e-ḳhauf-o-hiras
Leave a Reply