• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hai Mere Pesh-E-Nazar Chand Si Surat Teri

Hai Mere Pesh-E-Nazar Chand Si Surat Teri

poet

hai mire pesh-e-nazar chand si surat teri

gul khilaegi kisi roz mohabbat teri

baar ulfat ka na uthta kisi ashiq se magar

roz deti hai ilahi ise qudrat teri

chashm-e-maqtul ko dekha to kaha qatil ne

jaegi ta-ba-lahad saath ye hasrat teri

yas-o-arman-o-tamanna se na ghabra ashiq

rah-e-ulfat men badhaengi ye himmat teri

barkaten kis ke qadam ki hain dil-e-zar bata

roz badhti hi chali jaati hai vusat teri

kis ne roka hai tujhe kyuun nahin aati hai qaza

roz ushshaq kiya karte hain minnat teri

ja-ba-ja tere sabab se main ruka jaata huun

aaj daman men kiye deta huun fursat teri

shaaq hai teri judai dil-e-gham-ghin mujh ko

le chali su-e-bayaban mujhe vahshat teri

kibr-o-nakhvat hai ye kis chiiz pe batla vo mujhe

khaak hai teri bina kya hai haqiqat teri

saikdon jurm pe bhi rizq mujhe deta hai

ye inayat ye mohabbat ye muravvat teri

haae afsos ‘jamila’ ye hua haal tira

ab to dekhi nahin jaati hai musibat teri

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sans Chalti Rahti Hai Zindagi Nahin Hoti

wali-mohammad-wali

Fida-E-dilbar-E-Rangin-Ada Hun

honTon Pe Dil Ki Baat Wo Lae Mere Liye

Ye Tumne Panw Kya Rakkha Hua Tha

noshi-gilani

Hijr Ke Par Bhig Jaen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet