hai madrasa yahi to yahi ḳhanqah hai
insan ka dil hi ek baḌi dars-gah hai
rusva na kar de mujh ko ye andaz-e-ḳhamushi
un ke siva har ek ki mujh par nigah hai
sharma.e bhi vo apne sitam par to kya hua
sharm-o-haya se ham pe kab un ki nigah hai
jo pyaar ki nahin na sahi qahr ki sahi
chara mire maraz ka tiri ik nigah hai
us ne naqab chehre se ulTa to hai magar
yara-e-did kis ko ki haa.il nigah hai
kuchh munhasir gulon pe nahin chashm-e-shauq men
har zarra gulsitan ka tiri jalva-gah hai
isyan ba-qadr-e-shan-e-karimi nahin mire
koi gunah hai to yahi ik gunah hai
goya kisi ke ishq men ham nim-jan na the
kya aa.e vo ki ab na fughan hai na aah hai
hai pesh-ḳhema ranjish-e-umr-e-daraz ka
un se jo ye ghaḌi-do-ghaḌi ka nibah hai
kyon ho gaya na dekhte hi main shahid-e-husn
har baar un ko dekhun ye ijz-e-nigah hai
us be-hunar ko bhaa.e kisi ka kamal kya
‘sa.ib’ faqat uyuub pe jis ki nigah hai
Leave a Reply