
Pirzada Qasim
hai jabr vaqt ka qissa ajab suna.e kaun
main yaad us ko karun aur yaad aa.e kaun
ye baat bujhte diyon ne kisi se puchhi thi
jale to ham the magar ḳhair jagmaga.e kaun
use talash to karna hai phir ye sochta huun
zamana aur hai ab zahmaten uTha.e kaun
yahan to apne charaghon ki fikr hai sab ko
diya jalaya hai sab ne diye jala.e kaun
yahan to log inhi hairaton men jiite hain
ki tiir kis pe chale aur zaḳhm khaa.e kaun
yahan to jagti ankhon men ḳhvab jagte hain
jo jagte hon unhen ḳhvab se jaga.e kaun
yahan kisi ko kisi ki ḳhabar nahin milti
magar ye be-ḳhabari ki ḳhabar suna.e kaun
yahan to sub.h se pahle hi bazm barham hai
diya bujha de koi par diya bujha.e kaun

Leave a Reply