hai abhi tak isi vahshat ki inayat baaqi
koi bhi chiiz nahin ghar ki salamat baaqi
main bhala haath duaon ko uThata kaise
us ne chhoḌi hi nahin koi zarurat baaqi
us ne TuuTe hue TukḌon se bhi pahchan liya
hai bikhar kar bhi miyan meri nafasat baaqi
be-nishan koi na ujḌe hue khanDarat rahen
un men rahti hai abhi ghar ki shabahat baaqi
pahle jazbat chhalak paḌte the ḳhamoshi se
ab to lahjon men bhi hai ḳhali muravvat baaqi
ḳhud ko aadat koi paḌne hi nahin deta huun
meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baaqi
mere chhune se kali phuul bani jaati hai
mere hathon men abhi tak hai shararat baaqi
main nazar aa.uun to dikhta nahin suraj ‘aḳhtar’
ek hi rah ga.i chhoTi si karamat baaqi
Leave a Reply