haa.e re pyari pyari aankh
matvali rat-nari ankhen
gharat-e-dil par TuuT paḌi hai
shyam-nagar ki kumari ankhen
us ghaḌi dekho in ka aalam
niind se jab hon bhari ankhen
zahr kabhi hain aur kabhi amrit
un ki baai baai ankhen
jin ko jhapakna yaad nahin hai
hairat ki hain vo maari ankhen
takti hain ab tak raah kisi ki
sub.h o shaam shikari ankhen
kaun ‘asar’ ki nazar men sama.e
dekhi hai us ne tumhari ankhen
Leave a Reply