hadsa hota raha hai mujh men
bar-ha koi mara hai mujh men
meri miTTi ko pata hai sab kuchh
kaun kab kitna chala hai mujh men
ḳhatm hota hi nahin mera safar
koi thak-har gaya hai mujh men
apne andar main sameTun kya kya
saara ghar bikhra paḌa hai mujh men
kashtiyan Duub rahi hain ‘azar’
ek tufan uTha hai mujh men
Leave a Reply