had-e-unvan se aage aḳhir afsane kahan jaate
tiri mahfil se baḌh kar tere divane kahan jaate
haqiqat se guzar kar a.ina-ḳhane kahan jaate
agar ham tak nahin aate to paimane kahan jaate
gham-e-dauran ne baḌh kar lau baḌha di sham-e-hasti ki
gham-e-janan ke ye bhaTke hue jaane kahan jaate
nigahen thiin hamari farq-e-ḳhas-o-am se aage
agar vo aa bhi jaate ham se pahchane kahan jaate
ye rindon ki hai shan-e-be-niyazi saqiyo varna
na jaane tum kahan hote ye maiḳhane kahan jaate
bharam ashk-e-alam ka rakh liya zarron ke sinon ne
sitaron ki jabinen varna sulgane kahan jaate
bahar aa.e baghair un par ‘shifa’ hai be-ḳhudi taari
bahar aati to kya malum mastane kahan jaate
Leave a Reply