Haalat-E-Haal Mein Aadab Nahin Bhulta Main

hālat-e-hāl meñ ādāb nahīñ bhūltā maiñ

ḳhud ko bhūlūñ bhī to ahbāb nahīñ bhūltā maiñ

maiñ abhī ishq nahīñ hālat-e-īmān meñ huuñ

jañg karte hue asbāb nahīñ bhūltā maiñ

jazb kartī huī ḳhilqat se mohabbat hai mujhe

chāñd ko chhoḌiye tālāb nahīñ bhūltā maiñ

ai mujhe ḳhvāb dikhāte hue logo sun lo

merā dukh ye hai koī ḳhvāb nahīñ bhūltā maiñ

pārsā.ī nahīñ tanhā.ī mayassar thī vahāñ

so tire mimbar-o-mehrāb nahīñ bhūltā maiñ

Leave a Comment