hal-e-marg-e-be-kasi sun kar asar koi na ho
sach to ye hai aap sa bhi be-ḳhabar koi na ho
haa.e dushman dekhen un ke uThte jauban ki bahar
haa.e main koi na huun meri nazar koi na ho
is tamanna par kaTe marte hain mushtaqan-e-qatl
yaar par qurban ham se peshtar koi na ho
vo qayamat ki ghaḌi hai talib-e-didar par
jab uThe parda to parde ke udhar koi na ho
ishq men be-tabiyan hoti hain lekin ai ‘hasan’
jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho
Leave a Reply