guzro na is tarah ki tamasha nahin huun main
samjho ki ab huun aur dobara nahin huun main
ik taba rang rang thi so nazr-e-gul hui
ab ye ki apne saath bhi rahta nahin huun main
tum ne bhi mere saath uthae hain dukh bahut
khush huun ki rah-e-shauq men tanha nahin huun main
pichhe na bhaag vaqt ki ai na-shanas dhuup
sayon ke darmiyan huun saaya nahin huun main
jo kuchh bhi huun main apni hi surat men huun ‘alim’
‘ghalib’ nahin huun ‘mir’-o-‘yagana’ nahin huun main
Leave a Reply