ye ja kar koi bazm-e-khuban men kah do
ki ab dar-khor-e-bazm-e-khuban nahin main
mubarak tumhen qasr-o-aivan tumhare
vo dil-dada-e-qasr-o-aivan nahin main
javani bhi sarkash mohabbat bhi sarkash
vo zindani-e-zulf-e-pechan nahin main
tadap meri fitrat tadapta huun lekin
vo zakhmi-e-paikan-e-mizhgan nahin main
dhadakta hai dil ab bhi raton ko lekin
vo nauha-gar-e-dard-e-hijran nahin main
ba-in tishna-kami ba-in talkh-kami
rahin-e-lab-e-shakkar-afshan nahin main
sharab o shabistan ka maara huun lekin
vo gharq-e-sharab-e-shabistan nahin main
qasam nutq ki shoala-afshaniyon ki
ki shaer to huun ab ghazal-khvan nahin main
Leave a Reply