gung hain saari zaminen asman hairat-zada
raftagan shashdar sabhi a.indagan hairat-zada
chuus leti hai zamin paani jahan hon nafraten
ḳhushk hoti nahr pe mat hon kisan hairat-zada
kaun ghar ka hai ye dhovan kis ki hai yaḳh-bastagi
barf hoti is nadi ka sab dhuan hairat-zada
is tahayyur-ḳhez shahr-e-nur ki har shai ajab
har yaqin hairat-zada har-ik guman hairat-zada
daḳhle par taḳhtiyan hain jin pe kunda naam hain
kaun kaise kis tarah aur hai kahan hairat-zada
sang-e-marmar se bana jangal jahan-e-arzu
daftari lahja liye main ik javan hairat-zada
kis tarah ka dars mujh ko de raha hai aftab
sahn-e-maktab men kahin hai kahkashan hairat-zada
zikr tha malfuf kun ka asman ki baat thi
sun raha tha shahr saara dastan hairat-zada
Leave a Reply