gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
jo be-gunah tha vo bhi nazar mila na saka
tarab hai sheva-e-rindan-e-aqibat-na-shanas
jo gul na tha vo gulistan men muskura na saka
bahut ḳhafif thi kaun-o-makan ki jalvagari
miri nigah ka gosha bhi jagmaga na saka
havala-e-nigah-e-sharamgin huiin aḳhir
vo bijliyan jo kahin asman gira na saka
badi.a-kar hai zehn-e-ḳhirad-pasand magar
tasavvurat se tasvir-e-gham bana na saka
ajab nahin ki gulistan men pa-ba-gil rah jaa.e
vo bad-nasib jo ramz-e-ḳhiram pa na saka
jiya vo paak jo rakhta tha ḳhar-e-pairahan
jo gul ba-jaib tha daman kabhi bacha na saka
‘nushur’ nazuki-e-tab-e-sher kya kahiye
jahan men rah ke zamane ke naaz uTha na saka
Leave a Reply