gulabi honTh ye qashqa tumhara
mujhe bhane laga chehra tumhara
labon ko paḌ ga.i aadat labon ki
bahut mahnga paḌa bosa tumhara
makan-e-jism yuun to Dah gaya par
qayamat Dha raha malba tumhara
main jab bhi sochta huun ḳhud-kushi ki
bachata hai mujhe chehra tumhara
hamen bichhḌe hue arsa hua par
abhi tak dil men hai nashsha tumhara
Leave a Reply