go ki mohtaj hain gada hain ham
be-niyazi ke badsha hain ham
chashm-e-tahqir se hamen mat dekh
khaak to hain pe tutiya hain ham
aah is umr-e-be-baqa ki tarah
rahrav-e-kishvar-e-fana hain ham
aisa be-barg o be-navahi kaun
jaise be-barg o be-nava hain ham
go hamen tu kabhi na yaad kare
par tiri yaad men sada hain ham
mubtala us bala men koi na ho
jis bala men ki mubtala hain ham
maar kar bhi hamin pe pachhtaya
be-vafa tu ki be-vafa hain ham
jabha-sai se dushmani hai jise
usi ke dar pe jabha-sa hain ham
kaun rahbar ho ishq ki rah men
aap hi apne rahnuma hain ham
hain to surat-parast aina-dar
nek maani se ashna hain ham
aur divana kaun hai ‘joshish’
ya divana tha qais ya hain ham
Leave a Reply