• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Girya, Mayusi, Gham-E-Tark-E-Wafa Kuchh Na Raha

Girya, Mayusi, Gham-E-Tark-E-Wafa Kuchh Na Raha

kishwar-naheed

girya, mayusi, gham-e-tark-e-vafa kuchh na raha

zindagi rah gai jiine ka maza kuchh na raha

raushni thi to har ik shai ki haqiqat thi ayaan

tirgi men miri ankhon ke siva kuchh na raha

pairahan rang birange nikal aae itne

nau-damida gul-e-shabbu men chhupa kuchh na raha

kha gai khaak ko hi khaak karen kisi se gila

kya kureden ki tah-e-khak chhapa kuchh na raha

tere milne ke dhang bhi taslim magar

zaiqa is tarah badla ki maza kuchh na raha

kyuun na ho hashr bapa dad-e-vafa kyuun na mile

jab tire chahne valon ke siva kuchh na raha

kyuun na mehmanon ke kamre men sajaen in ko

ilm ka naam kitabon ke siva kuchh na raha

khushbu-e-vasl tavajjoh ka vo aalam vo khulus

dubte chand ki aghosh men kya kuchh na raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dilon Mein Rahiye Jahan Ke Wale Khuda Ke dhab

Shahr-E-Fasl-E-Gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan

Dil Kho Gaya Hamara Kisi Se Mila Ke Hath

Jab Tak Safed Aandhi Ke Jhonke Chale Na The

abu-bakr-abbad

Panw Jab Mere Aasman Mein The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet