giraft-e-zist men huun qaid-e-be-hisar men huun
azab-e-arsa-gah-e-jabr-o-iḳhtiyar men huun
ḳhayal hai to abhi DhunDh phir milun na milun
abhi main tere uḌaa.e hue ghubar men huun
bhaḌak raha hai badan ruuh ko ḳhabar bhi nahin
ye kya maqam hai ye kaise sho.ala-zar men huun
main kaun huun tire nazdik ye saval nahin
hubab huun ki sadaf bahar-e-be-kanar men huun
ḳhud apne aap se har dam huun barsar-e-paikar
main apni zaat ke maidan-e-kar-zar men huun
men bhed kya tujhe duun be-karan ḳhalaon ke
ki main azal se isi halqa-e-madar men huun
talash kis ki hai mujh ko abhi ye kya sochun
‘bashir’ abhi to main apne hi intizar men huun
Leave a Reply