apna andaz-e-junun sab se juda rakhta huun main
chak-e-dil chak-e-gareban se siva rakhta huun main
ghaznavi huun aur giraftar-e-ḳham-e-zulf-e-ayaz
but-shikan huun aur dil men but-kada rakhta huun main
hai ḳhud apni aag se har paikar-e-gul tabnak
le hava ki zad pe miTTi ka diya rakhta huun main
main ki apni qabr men bhi zinda huun ghar ki tarah
har kafan ko apne gird ehram sa rakhta huun main
dasht-e-ghurbat men huun avara misal-e-gard-bad
koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta huun main
mera saaya bhi nahin mera ujale ke baghair
aur ujale ka tasavvur ḳhvab sa rakhta huun main
Leave a Reply