ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon men
nasim-e-sub.h bhi shamil hai nauha-ḳhvanon men
jahan the raqs-e-tarab men kabhi dar-o-divar
bala.en naach rahi hain ab un makanon men
andheri raat bhayanak khanDar muhib faza
bhaTak raha huun ajal ke siyah-ḳhanon men
ye aamad amad-e-tufan-e-shab ḳhuda ki panah
tuyur-e-sham simaT jaa.en ashiyanon men
ye saa.en saa.en ki avaz hai ki maut ki huuk
jo gunjti hai shayatin ke taranon men
nadim-e-shab koi afsana-e-fusun-o-tilism
ki zindagi ki jhalak hai inhin fasanon men
nahin hai shahr-e-vafa ki tabahiyon ka gila
magar vo log jo rahte the in makanon men
ajiib thiin ye gharibon ki bastiyan lekin
gharib rah na sake in gharib-ḳhanon men
hamari gard-e-safar bhi na ab mile shayad
‘ra.is’ ahl-e-tamanna ke karvanon men
Leave a Reply