ghar nahin basti nahin shor-e-fughan charon taraf hai
ek chautha.i zamin par asman charon taraf hai
dauḌte hain rat-din tiin aankh barah haath vaale
sard sannaTe men avaz-e-sagan charon taraf hai
launcher rocket Clashnikof barudi surangen
ḳhuun ka dariya pahaḌon men ravan charon taraf hai
jism hai to sar nahin sar hai to dast-o-pa nahin
arz-e-pur-asrar men hu ka saman charon taraf hai
surma.i kohsar ki choTi pe barfani parinda
bas ki gul ki chaah men gasht-e-ḳhizan charon taraf hai
ishare se alamat tak zaban ḳhamosh meri
kal ‘zubair’ apna tha aaj us ka ziyan charon taraf hai
Leave a Reply