ghamza paikan hua jaata hai
dil ka arman hua jaata hai
dekh kar uljhi hui zulf un ki
dil pareshan hua jaata hai
teri vahshat ki badaulat ai dil
ghar bayaban hua jaata hai
saz-o-saman ka na hona hi mujhe
saz-o-saman hua jaata hai
mushkil asan hui jaati hai
kyuun pareshan hua jaata hai
dil se jaate hain mire sabr-o-qarar
ghar ye viran hua jaata hai
dil ki rag rag men sama kar ‘bedam’
dard to jaan hua jaata hai
Leave a Reply