• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham uThate Hain Wahi Aksar KHushi Pane Ke Baad

Gham uThate Hain Wahi Aksar KHushi Pane Ke Baad

poet

gham uThate hain vahi aksar ḳhushi paane ke ba.ad

jo ḳhizan ko bhuul jaate hain bahar aane ke ba.ad

zindagi yuun kaT rahi hai un ke Thukrane ke ba.ad

jaise ik mahfil ki halat sham.a bujh jaane ke ba.ad

ahl-e-kashti tum ko ye har mauj deti hai payam

paoge sahil magar tufan se Takrane ke ba.ad

jo bhi pyasa aa.e us ki pyaas bujhna chahiye

bandishen kaisi dar-e-mai-ḳhana khul jaane ke ba.ad

jaise ham daur-e-jahalat se bhi pichhe haT ga.e

aisi baten kar rahe hain hosh men aane ke ba.ad

hoshiyar ai qafile vaalo ki aksar qafile

luT ga.e hain sarhad-e-manzil pe aa jaane ke ba.ad

ai falak ham bhulte jaate hain andaz-e-ḳhalil

ham pe angare bhi barsa phuul barsane ke ba.ad

saḳht hota hai shu.ur-e-zindagi ka imtihan

inqalab aane se pahle inqalab aane ke ba.ad

inqilab-e-vaqt ke sho.alon men baḌh ke kuud ja

zindagi milti hai parvane ko jal jaane ke ba.ad

haan taḌapne ka bhi ‘sharib’ ik saliqa chahiye

tau sahi duniya na taḌpe ham ko taḌpane ke ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bojh uThae Hue Din Raat Kahan Tak Jata

poet

Ishq-E-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye

Kyun Na Ho Zikr Mohabbat Ka Mare Nam Ke Sath

poet

Chaar din Hai Ye Jawani Na Bahut Josh Mein Aa

Sheikh Saadi

Story 32 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet