gham juda.i ka na shayad mujhe itna hota
tum ne ai kaash jo mujh ko kabhi samjha hota
ibn-e-adam na kabhi is tarah tishna hota
ret pe us ko jo paani ka na dhoka hota
ain mumkin hai ki zid chhoḌ ke vo ruk jaata
jaane vaale ne jo muḌ kar mujhe dekha hota
kya ajab hai ki vo gandum ko na chhuta hargiz
mard-e-avval na agar baḳht ka maara hota
do qadam saath to milte mire ahbab ‘naresh’
kaash har dost ne vishvas na toḌa hota
Leave a Reply