gham-e-hayat men koi kami nahin aai
nazar-fareb thi teri jamal-arai
vo dastan jo tiri dilkashi ne chhedi thi
hazar baar miri sadgi ne dohrai
fasane aam sahi meri chashm-e-hairan ke
tamasha bante rahe hain yahan tamashai
tiri vafa tiri majburiyan baja lekin
ye sozish-e-gham-e-hijran ye sard tanhai
kisi ke husn-e-tamanna ka paas hai varna
mujhe khayal-e-jahan hai na khauf-e-rusvai
main sochta huun zamane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai
kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
Leave a Reply