• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham-E-Dauran Gham-E-Jaanan Gham-E-Jaan Hai Ki Nahin

Gham-E-Dauran Gham-E-Jaanan Gham-E-Jaan Hai Ki Nahin

gham-e-dauran gham-e-janan gham-e-jan hai ki nahin

dil-sitan silsila-e-gham-zadagan hai ki nahin

har nafas bazm-e-gulistan men ghazal-ḳhvan tha kabhi

har nafas nala-kashan nauha-kunan hai ki nahin

har nazar naghma-sara anjuman-ara thi kabhi

har nazar hairati-e-rang-e-jahan hai ki nahin

har zaban par tha kabhi tazkira-e-daur-e-bahar

har zaban shikva-gar-e-jaur-e-ḳhizan hai ki nahin

mai-chakan bada-nishan the lab-e-gul-rang kabhi

lab-e-gul-rang pe zaḳhmon ka guman hai ki nahin

surma-e-chashm-e-inayat ki hikayat chhoḌo

aaj har aankh men aahon ka dhuan hai ki nahin

qafile jaane ghaTaon ke kahan utrenge

har ḳham-e-zulf ba-hasrat-nigaran hai ki nahin

dasht-e-vahshat se nahin kam ye jahan-e-gul-o-bu

surat-e-reg-e-ravan umr-e-ravan hai ki nahin

naghma-e-bad-e-bahari jise tum kahte ho

jaras-e-qafila-e-gul ki fughan hai ki nahin

na to bulbul ki nava hai na sada-e-ta.us

sehn-e-gulzar men ab amn-o-aman hai ki nahin

mujh se kya puchhte ho kaun yahan tak pahuncha

surḳhi-e-ḳhar-e-bayaban se ayaan hai ki nahin

zindagi kuchh bhi sahi phir bhi baḌi daulat hai

maut si shai bhi yahan jins-e-giran hai ki nahin

surat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyuun na jale

aag patthar ke bhi siine men nihan hai ki nahin

zulm chup-chap sahe jaoge aḳhir kab tak

ai asiran-e-qafas munh men zaban hai ki nahin

ye adab-gah-e-mohabbat hai jo chup huun ‘tahir’

varna yaan kaun sa andaz-e-bayan hai ki nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tum Ho Bazm-E-Aish Hai Wan Aur Sohbat-Dariyan

Aap Bhi Nahin Aae Nind Bhi Nahin Aai

Jis Ki Saundhi Saundhi KHushbu Aangan Aangan Palti Thi

Fasil-E-Zat Par Itra Raha Hun

poet

Hai Mere Pesh-E-Nazar Chand Si Surat Teri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet