gham-e-ahista-rau yaan rafta rafta
kiya hai mujh kuun hairan rafta rafta
vo sahir ne ada ka sehr kar kar
liya mujh siin dil-o-jan rafta rafta
jigar ushshaq ka dagh-e-jafa suun
hua sehn-e-gulistan rafta rafta
kamand-e-zulf dikhla kar kiya hai
mire dil kuun pareshan rafta rafta
zi-bas us yusuf-e-misri ke hain lab
hua dil misl-e-kanan rafta rafta
‘siraj’ ab tu na ho ghamgin ki rahman
karega mushkil asan rafta rafta
Leave a Reply