ghair par lutf kare ham pe sitam ya qismat
tha nasibon men hamare ye sanam ya qismat
yaar tu yaar nahin bakht hain so ulte hain
kab talak ham ye sahen dard-o-alam ya qismat
kucha-gardi se use shauq hai lekin gaahe
is taraf ko nahin rakhta vo qadam ya qismat
kucha-e-yar men thodi si jagah de ai bakht
mangta tujh se nahin mulk-e-ajam ya qismat
jan-o-dil men se nahin ek bhi ab nek-nasib
donon kam-bakht hue aa ke baham ya qismat
‘asif’ ab aur lage karne taraqqi din raat
shamat-e-bakht hui meri to kam ya qismat
Leave a Reply