ghaib se sahra-navardon ka mudava ho gaya
daman-e-dasht-e-junun zaḳhmon ka phaha ho gaya
maut aa.i ji ga.e chhuT kar gham-o-andoh se
ye naya marna hai jis ka naam jiina ho gaya
ḳhud ko bhi dekha na ankhen khol kar misl-e-habab
bahr-e-hasti men faqat dam ka damama ho gaya
ye zamana vo nahin munh se nikale haq koi
yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya
suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne
ashk ankhon men bana honTon pe chhala ho gaya
naaz se chhati par us ne paanv jis dam rakh diya
dil hua ThanDa kaleja haath bhar ka ho gaya
ham ne paala muddaton pahlu men ham koi nahin
tum ne dekha ik nazar se dil tumhara ho gaya
kahne ko majzub ham hain dil men goya aur hai
nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya
jab se ai ‘taslim’ ki hai bai.at-e-dast-e-subu
diin saghar ho gaya iman miina ho gaya
Leave a Reply