gatha padh kar atish dhonki ganga se ashnan
main ne har yug nazr guzari har pidhi men daan
dhyan laga kar ankhen mundin baitha ghutne tek
mitha lafz bhajan ban utra sachcha sher gunan
maan dharti ko pesh-sukhan ke rang-birange phuul
bhaag bhari ko bhent sunahre misre ka loban
saaya sachchal shaah ki ajrak raushan miir charagh
amrohe se uth kar aae ham bagh-e-multan
sayyare par zardi utri dariya mitti khushk
hathi par haudaj kasvao naake par palan
ai dharti ke tyagi uth kar ghor khala men baith
agli gaadi ki ghanti tak tu hai aur rahman
farsh lapete taare jhade narsange ki phunk
palan-hara tu daata hai kar jo chahe thaan
manzar ab-o-tab samete shayad hai maujud
lams haqiqat aks mujassam avazon par kaan
Leave a Reply