ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai
aur kisi ka rasta dekha ja sakta hai
raat guzari ja sakti hai taare gin kar
din men chadar taan ke soya ja sakta hai
shikve duur kiye ja sakte hain yaron se
is sunday ko phone ghumaya ja sakta hai
us ke jaisa hi ab kuchh hasil hai mujh ko
ab us ki ḳhvahish ko chhoḌa ja sakta hai
vaise paisa hi sab kuchh hai is duniya men
lekin paise par bhi thuka ja sakta hai
va.ada karne men kaisi ghabrahaT pyare
va.ade se ik pal men palTa ja sakta hai
mere an-dekhi karne ka hai kya karan
kam se kam us se puchha ja sakta hai
main apne chehre se thoḌa uub gaya huun
kya apna chehra bhi badla ja sakta hai
sher kahe ja sakte hain paripaTi vaale
aur zaminon par bhi socha ja sakta hai
dhire dhire zalim ki jaḌ khodo ‘saurabh’
rassi se chaTTan ko kaaTa ja sakta hai
Leave a Reply