Gareban Chaak Hain Gul Bostan Mein

gareban chaak hain gul bostan men

asar kitna hai bulbul ki fughan men

qafas sayyad ka khali pada hai

na hon bechain kyuun kar ashiyan men

dua-e-vasl ja ab to asar tak

kiye nalon ne rauzan asman men

sune gar tala-e-khufta ka qissa

to niind aa jaae chashm-e-pasban men

zulekha ki michi jaati hain ankhen

kahin yusuf na ho is karvan men

tamam asbab-e-duniyavi ke badle

hai ik be-raunaqi apni dukan men

suna hal-e-dil-e-‘majruh’ shab ko

koi hasrat si hasrat thi bayan men

Leave a Comment