aram phir kahan hai jo ho dil men ja-e-hirs
asuda zer-e-khak nahin ashna-e-hirs
mumkin nahin hai ye ki bhare kasa-e-tamaa
din men karod ghar jo phira de gada-e-hirs
insan na hon zalil zamane ke haath se
zillat kisi ko koi na deve siva-e-hirs
kar munh ko tuk ba-su-e-qanaat ye harf maan
rahti hai laakh tarah ki aafat qifa-e-hirs
nadan talash-e-turra-e-zar se to baaz aa
juun shama ye na ho ki tira sar katae hirs
apne siva kisi ko na paaya harif haif
ki qata rozgar ne ham par qaba-e-hirs
‘sauda’ basar ho khubi se auqat har tarah
par darmiyan na hove ba-shart-e-ki pa-e-hirs
Leave a Reply