jo log dida-o-dil ko tabah dekhte hain
makin ḳhvab ke aane ki raah dekhte hain
hamen ab aankh ke manzar ka e’tibar nahin
so ham ab aks nahin bas nigah dekhte hain
ye kaisi aag lagata hai aftab ki ham
zamin-o-arsh ko hote siyah dekhte hain
tum apni zaat se koi mutalba na karo
ham apne-ap se kar ke nibah dekhte hain
hava ne shahr ka naqsha badal diya shayad
ghubar-e-rah men ham sair-gah dekhte hain
bara.e-nam hai bas mera muhtamim hona
ki intizam to sab sarbarah dekhte hain
main saf-go huun magar be-zaban lagta huun
ye kis tarah se mujhe sab gavah dekhte hain
karenge ham bhi kabhi farq miThe khare men
abhi to aab ki ḳhvahish men chaah dekhte hain
nikal ke nargha-e-qahar-o-azab se ‘rahat’
sab apne vaste ja-e-panah dekhte hain
Leave a Reply