gardish men chashm-e-dost ka paimana aagya
liije maqam-e-sajda-e-shukrana aa gaya
main aur sharab-e-nab magar is ko kya karun
gham mujh ko le ke janib-e-mai-ḳhana aa gaya
yara-e-zabt rah na saka ru-ba-ru-e-dost
ankhon men khinch ke dard ka afsana aa gaya
su-e-haram chale the baḌe ehtimam se
qismat ki baat raah men but-ḳhana aa gaya
sajde machal rahe hain jabin-e-niyaz men
shayad qarib-tar dar-e-janana aa gaya
dil hai agar to dil ka dhḌakna hai lazmi
raushan hui jo sham.a to parvana aa gaya
yuun duur ho ga.i miri manzil ki raah men
mai-ḳhana aa gaya kabhi but-ḳhana aa gaya
ai ‘shauq’ un ki bazm se shohrat mili mujhe
har samt ek shor hai divana aa gaya
Leave a Reply