gardish-e-gham tamam ho ki na ho
zindagi shad-kam ho ki na ho
phir ye fursat hamen mile na mile
phir ye rangin shaam ho ki na ho
ham ko hai pas-e-vaz.a-e-ahl-e-junun
aap ko ehtiram ho ki na ho
dekh to le nigah-e-ulfat se
ham se tu ham-kalam ho ki na ho
zindagi men hi naam paida kar
baad marne ke naam ho ki na ho
talḳhi-e-gham hai mustaqil ‘nayyar’
masti-e-mai mudam ho ki na ho
Leave a Reply