gardish-e-arz-o-samavat ne jiine na diya
kaT gaya din to hamen raat ne jiine na diya
kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzur
aur kuchh un ki inayat ne jiine na diya
hadsa hai ki tire sar pe na ilzam aaya
vaqi.a hai ki tiri zaat ne jiine na diya
‘kaif’ ke bhulne vaale ko ḳhabar ho ki use
sadma-e-tark-e-mulaqat ne jiine na diya
Leave a Reply