• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Garche Mere KHulus Se Wo Be-KHabar Na Tha

Garche Mere KHulus Se Wo Be-KHabar Na Tha

garche mire ḳhulus se vo be-ḳhabar na tha

phir bhi miri vafaon ka us par asar na tha

main us fareb-e-husn se ḳhud ba-ḳhabar na tha

vo tha to mere saath ba-zahir magar na tha

apna use bana na saka main tamam umr

mujh men bahut hunar the magar ye hunar na tha

lab the ḳhamosh ḳhauf se iz.har-e-ishq ke

par ansuon ko mere kisi ka bhi Dar na tha

saare jahan ki ḳhaak ko ham chhanne ke ba.ad

lauTe to dekha apna ghar ab apna ghar na tha

bimar-e-gham ke vaste kya maut ke siva

koi ilaaj dahr men ai chara-gar na tha

kya mai-kade ka nazm bhi tabdil ho gaya

saaqi jo daur-e-jam idhar tha udhar na tha

hoti bhi fat.h kaise miri jab the saath saath

vo log jin ke shane pe ḳhud apna sar na tha

kyuun us ne ki na zahmat-e-chara-gari qubul

kya us ke paas chara-e-zaḳhm-e-jigar na tha

coffē tha mujh ko rah-e-vafa men ḳhayal-e-yar

‘tabish’ bala se koi mira ham-safar na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Harim-E-Zat Ke Parde Mein Justuju Yaran

poet

Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-E-Burran Le Chala

Hijr Kahte Hain Kise Ye Kya Kisi Se Puchhna

poet

Aashiq-E-Zar Hun Diwana Hun

Musalsal Dhup Se Pala paDa Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet