garche is buniyad-e-hasti ke anasir chaar hain
lekin apne niist ho jaane men sab na-char hain
dosti aur dushmani hai in butan ki ek si
chaar din hain mehrban to chaar din bezar hain
ji koi mansur ke juun jaan karte hain fida
ve sipahi ashiqon ki fauj ke sardar hain
ye jo sajti hai katari-dar mashru ki izaar
marne ke vaqt ashiq ke nangi tarvar hain
dosti aur pyaar ki baton pe khuban ki na bhuul
shokh hote hain nipat ayyar kis ke yaar hain
jo nasha jvani ka utrega to khinchenge khumar
ab to khuban sab sharab-e-husn ke sarshar hain
kis tarah chashmon seti jaari na ho dariya-e-khun
thal na paira ‘abru’ ham vaar aur ve paar hain
Leave a Reply