• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gar Mere Baithne Se Wo Aazar Khinchte

Gar Mere Baithne Se Wo Aazar Khinchte

poet

gar mere baithne se vo azar khinchte

to apne dar ki aa ke vo divar khinchte

naaz o ada o ghamza se yuun dil liya mira

le jaaen jaise mast ko hushyar khinchte

va hasrata hui unhen aane ki tab khabar

laae jab us gali men mujhe yaar khinchte

aaega un ke kahne se vo gul yahan talak

kanton pe kyuun hain ab mujhe aghyar khinchte

vaan shauq jaliyon ka hai us jama-zeb ko

yaan apne pairahan se hain ham taar khinchte

tegh-e-nigah-e-yar uchatti lagi hai phir

barson guzar gae mujhe azar khinchte

kahte hain shab vo kahte the aata hai ji ghuta

naale jo ham rahe pas-e-divar khinchte

azurda un ko dekhte hi jaan nikal gai

vo dekh mujh ko rah gae talvar khinchte

taskin’ ka chaak chaak hua dil jo shane ko

dekha kisi ka turra-e-tarrar khinchte

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Gore Hathon Mein Ye dhani Chudiyon Ki Aan-Ban

azra-abbas

Lafzon Ke Khel

Ye Aasman Zamin Ke honT Chumta Hua Na Ho

Ghar Mein Sahra Hai to Sahra Ko KHafa Kar Dekho

Hans Hans Ke Bolne Ki Faza Kaun Le Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet