gar kahun matlab tumhara khul gaya
kahte hain achchha hua kya khul gaya
ghair ki qismat ki khani hai qasam
band tha darvaza un ka khul gaya
tum khule-bandon milo aghyar se
shukr paanv ab tumhara khul gaya
aa gai be-parda vo surat nazar
aankh ki jab band parda khul gaya
ghair se ab band ho kis baat par
galiyon par munh tumhara khul gaya
khul gaya haal is dil-e-betab ka
munh dupatte se jo un ka khul gaya
hon ishare ghair se aur dekhun main
bait-e-abru ka bhi maana khul gaya
nama-bar! tere chhupane se mujhe
apni qismat ka navishta khul gaya
dil ki be-tabi ne rusva kar diya
haae sab par raaz apna khul gaya
nama-bar! gar ghair ne dekha nahin
kaise phir khat ka lifafa khul gaya
qudrat-e-haq se badhi ishrat ki shab
shab jo us kafir ka juuda khul gaya
dekhiye kya dil se dil ko raah hai
raaz jo tum ne chhupaya khul gaya
jo na kahna tha kaha sab kuchh ‘nizam’
raaz baton men vo aisa khul gaya
Leave a Reply