gali akeli hai pyare andheri raten hain
agar milo to sajan sau tarah ki ghaten hain
butan siin mujh kuun tu karta hai mana ai zahid
raha huun sun ki ye bhi khuda ki baten hain
azal siin kyuun ye abad ki taraf kuun dauden hain
vo zulf dil ke talab ki magar baraten hain
raqib ijz siin maaqul ho sake hain kahin
ilaaj un ka magar jhagden hain va laten hain
karo karam ki nigahan taraf faqiron ki
nisab-e-husn ki sahab yahi zakaten hain
rahin falak ke sada her-pher men namard
ye randiyan hain ki charkha hamesha katen hain
likhunga ‘abru’ ab khush-nayan kuun main naama
palak qalam hain miri mardumuk davaten hain
Leave a Reply