ba-rang-e-kaif-o-sarshari hadis-e-dil kaho hamdam!
hama-tan gosh hai saaat
sharab-e-shab utarti hai bahut ahista ahista
sifal-e-khvab men maddham
tumhen is pal ijazat hai
kaho! yuun khalvat-e-jan men bilorin chudiyan chhan chhan chhanakti shor karti hain
mira dil dol jaata hai
vufur-e-husn men lipti tumhari ambarin zulfen…
dhdakna bhuul jaata hai
kaho! kajal siyah kajal dhanak rangon ka mela hai
kaho! poren khayalon ki sunahri jild men jalte diyon par raqs karti hain
surahi-dar gardan par damakti nuqrai mala… tumhare kaan ki bali… ye jadugar!
ye ishva-gar
talab ki be-zabani ko ata karte hain goyai
tumhen is pal ijazat hai
kaho yuun bhed ke jaise sarakta raat ka anchal hava men sarsarata hai
sitara shauq ka meri nazar men jhilmilata hai
kaho! na mausam-e-gul hai, gulabon ki qataron men damakte shabnami lamhe
tumhare lams ke pyase
bahr mauj-e-nafas thahra sukut-e-shauq ka mausam tumhen avaz deta hai
tamanna giit ki surat labon par gungunati hai
mohabbat be-muhaba ek lamhe ko tarasti hai
tamanna be-khabar! ghafil…
fusun-e-khvab ki muddat bahut thodi bahut kam hai
Leave a Reply