fitna-gar shokhi-e-haya kab tak
dekhna aur na dekhna kab tak
but-kada kuchh dar-e-qubul nahin
yas-e-nakami-e-dua kab tak
dard aur dard bhi judai ka
aise bimar ki dua kab tak
ek main kya adu bhi marte hain
nigah-e-lutf-ashna kab tak
dil men josh-e-hadis-e-kufr ‘zahir’
lab pe shor-e-khuda-khuda kab tak
Leave a Reply