• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fikr-E-Naqqad-E-Adab Dirham-O-Dinar Mein Hai

Fikr-E-Naqqad-E-Adab Dirham-O-Dinar Mein Hai

fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar men hai

kaun si jins-e-suḳhan kucha-o-bazar men hai

garmi-e-husn miri garmi-e-afkar men hai

vo agar mujh men nahin hai mire ash.ar men hai

pa-ba-zanjir mujhe laakh zamana samjhe

mire qadmon ki dhamak vaqt ki raftar men hai

raat qaabu men rahe shahr ke halat magar

laash ik lipTi hui sub.h ke aḳhbar men hai

koi avara sa jhonka koi baghi sa ḳhayal

jis se main ḳhauf-zada huun mire ash.ar men hai

kal isi ghar men ghazal us ne suna.i hogi

jani-pahchani si ḳhushbu dar-o-divar men hai

sahil-e-maslahat-e-vaqt mujhe jaane de

us safine ne pukara hai jo majdhar men hai

vo mohabbat ka mujahid vo muravvat ka shahid

kal ka ‘saulat’ abhi zinda mire afkar men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hafiz Shirazi

Aashiqan Ra dard-e-dil Bisyar Mi-Bayad Kashid

KHwahish Karke Gham Ko muKHatib Kaun Kare

sauda-mohammad-rafi

Gar Yar Ke Samne Main Roya To Kya

Jab Jaan Pe Lab-E-Jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae

Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet